CAPA/TRACKLIST

Letra : Sitamghar

Ah!

(It's RJ)

Chhod gaya mera haath thaam ke
Chhod gaya sab kuchh vo jaan ke
Chutthe vaade do jahan ke
Chhod gaya mujhe rab bhi maan ke

Saara zamana mujhko gyaan de
Saara zamana mujhpe dhyaan de
Hum uske hote ayaan the
Saara zamana ye bayaan de

Dil mein chupa rakkha hai tujhko maine aaj bhi
Badal gayi kyun hai teri baaton ki saadgi

Narazgi khatam kar
Itna na tu sitam kar
Banna na tu sitamghar
Thoda mujhpe tu rehem kar

Narazgi khatam kar
Itna na tu sitam kar
Banna na tu sitamghar
Thoda mujhpe tu rehem kar
(Rehem kar, rehem kar)


(It’s RJ)

Khuda ka tujhko vaasta, vaapas aaja mere yaar
Lamhon me na tu tod yun, janmon-janmon ka pyaar

Khuda ka tujhko vaasta, vaapas aaja mere yaar
Lamhon me na tu tod yun, janmon-janmon ka pyaar

Acchi nahi duniya me koi bhi mohtajgi
Badal gayi kyun hai teri baaton ki saadgi

Narazgi khatam kar
Itna na tu sitam kar
Banna na tu sitamghar
Thoda mujhpe tu rehem kar

Narazgi khatam kar
Itna na tu sitam kar
Banna na tu sitamghar
Thoda mujhpe tu rehem kar
(It's RJ)

(Ah!)

Yaar mera, ab pyaar mera
Intezar tera dil kar raha
Aitbar tera, izhaar tera
Ab yaad mera dil kar raha

Chal thik hai ye to sadiyon se dastoor hai
Par isme mere ishq ka na kusoor hai
Dil mera to teri marzi ke aage hai majboor
Kissa mera aur mere yaar ka to
Bacchon me mashoor hai

Suroor hai tera maahi mere to sar pe sawar
Duniyadari samajh gayi par ishq mein hun gawar
Matlab se chalta aaj bhi ye kaliyug ka sansaar
Par jannat ka hakdar rahega tera mera pyaar

Yaad aata hai tera saath
Aisi thi kuch teri baat
Zakhmi ho gaye mere jazbaat
Chalti hun ab ho gayi raat
RJ likhta nahi hai khaas
Par tagde hote uske alfaaz
Teri yaad aaye mere jabaaz
Ab aa bhi ja na mere paas