CAPA/TRACKLIST

Letra : Darasal

Tum toh darasal khwaab ki baat ho
Chalti mere khayalon me tum sath sath ho
Milti hai jo achaanak woh saugaat ho

Tum toh darasal meethi si pyaas ho
Lagta hai ye hamesha ke tum aas paas ho
Thehra hai jo labon pe woh ehsaas ho

Teri adaa, adaa pe marta main
Wafaa, wafaa si karta kyun
Hadon se hoon guzarta main
Zaraa zaraa zaraa

Tum toh darasal saanson ka saaz ho
Dil mein mere chupa jo wohi raaz, raaz ho
Kal bhi mera tum hi ho mera aaj ho
Kal bhi mera tum hi ho mera aaj ho

Baarish ka paani ho tum
Kaagaz ki kashti hoon main
Tujh mein kahin main beh jaata hoon

Ho.milne hoon tumse aata
Waapas nahi jaa paata
Thoda wahin main reh jaata hoon