CORRECT LYRICS

Lyrics : Sath Tere

Mai jaanta hun tere dil ki dabi khwhaishe
Maine hoti dekhi khaariz teri farmaishe
Dil me dardo ka ghar lekar chalti rahi
Chaanv deke tune apni khud jalti rahi

Kya hua dardo sang ho gaye hai aaj fere
Kyun akeli khud ko samjhe main hun na saath tere
Main hun na saath tere, main hun na saath tere
Kyun akeli khud ko samjhe main hun na saath tere

Tujhe dikhen uska cleavage
Tujhe dikhein uska dil na
Tune zakham dena sikha bas
Nahi sikha use silna

Tumhe dikhein uski arrogance
Tumhe dikhein uska dard nahi
Tu sona chahe uske saath
Par uska humdard nahi

Wo roti hai tanha raato me
Koi na uske paas hai
Jo sabko rakhti khush yahan
Par koi na uska khaas hai
Har baat pe sikha jisne karna sacrifice
Dhai so ki chappal me khush na maanga adidas hai
Papa ki pariyo ki pariyo se unchi kahaani hai
Poori karke chhodi jo bhi baat inhone thaani hai

Marry kom, kalpana chawla, mother teresa
Jo lad gayi hazaaro se wo jhaansi waali raani hai
Tum bolne me mahir ho wo na jaane kya kya jheli hai
Wo bahar se toh khush par ab bhi andar se akeli hai

Dil me dardo ka ghar lekar chalti rahi
Chaanv deke tune apni khud jalti rahi

Kya hua dardo sang ho gaye hai aaj fere
Kyun akeli khud ko samjhe main hun na saath tere
Main hun na saath tere, main hun na saath tere
Kyun akeli khud ko samjhe main hun na saath tere

Koi khele tere dil se
Kisi ko ye haq nahi
Jo kare teri ijjat na
Kabhi dena unhe f**k nahi
Galti tere bande ki aur sikha tune sehna
Chup nahi rehte har baar bas itna tumse kehna
Kisi se bhi pyaar kar teri marzi hai
Par jo sex ke liye love you bole unse dur rehna

Lagte se kitano ki ab aur na chalna hai
Chamak teri sooraj si tera sooraj na dhalna hai
Janam dene waali kam ho hi nahi sakti
Aansu ponch aage badh milo tujhe chalna hai

Tere kaanto ke raaste pe
Tere saath chahun ghumna
Mujhe hoth tere chumne nahi
Chahun dard tera chumna

Dil me dardo ka ghar lekar chalti rahi
Chaanv deke tune apni khud jalti rahi

Kya hua dardo sang aaj ho gaye hai fere
Kyun akeli khud ko samjhe main hun na saath tere
Main hun na saath tere, main hun na saath tere
Kyun akeli khud ko samjhe main hun na saath tere

Bhut ghont liya khud ka gala
Ab jeena hoga
Hauslo ke dhaago se
Jakhmo ko seena hoga
Marjaana magar haar na maan na
Zindagi zehar hai toh zehar bhi peena hoga
Zehar bhi peena hoga