CORRECT LYRICS

Lyrics : Chaand Taare

Jo bhi chaahun wo main paaun
Zindagi mein jeet jaaun

Chaand taare tod laun
Saari duniya par main chhaaun
Bas itna sa khwaab hai, bas itna sa khwaab hai

Chaand taare tod laun
Saari duniya par main chhaaun
Bas itna sa khwaab hai, bas itna sa khwaab hai

Yaar tu bhi sun zara aarzu meri hai kya
Main kya ban jaana chahta hoon
Main kahan kharab hoon
Main to lajawab hoon
Main yaha manwana chahta hoon

Maan jaa ae khuda itni si hai dua
Main ban jaaun sabse bada, main ban jaaun sabse bada

Mere peechhe, mere aage, hath jode duniya bhaage
Bas itna sa khwaab hai, bas itna sa khwaab hai

Shaan se rahun sada mujhpe log hon fida
Haseenayein bhi dil hon khoti
Dil ka yeh kanwal khile sone ka mahal mile
Barasne lagein heere moti

Hey, maan jaa ae khuda itni si hai dua
Main zyada nahi maangta, main zyada nahi maangta

Saari daulat, saari taakat, saari duniya par hukumat
Bas itna sa khwaab hai, bas itna sa khwaab hai