CORRIGER LES PAROLES

Paroles : Main Agar Kahoon

*Instrumentals*

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
Kisi zabaan mein bhi
Woh lavz hi nahi
Ki jinme tum ho kya tumhein bata sakhoon

Main agar kahoon tumsa haseen
Qaynat mein nahi hain kaheen
Taareef yeh bhi to
Sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

*Instrumentals*

Shokhiyon mein doobi yeh adaayein
Chehre se jhalki huyi hain
Zulf ki ghani ghani ghataayein
Shaan se dhalki huyi hain
Lehrata aanchal
Hai jaise baadal
Bahon mein bhari hain jaise chaandni
Roop ki chaandni

Main agar kahoon yeh dilkashi
Hain nahi kaheen na hogi kabhi
Taareef yeh bhi to
Sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon

*Instrumentals*

Tum huye mehrbaan
Toh hai yeh dastaan
Oh, tum huye mehrbaan
Toh hai yeh dastaan
Ab tumhara mera ek hai karavan
Tum jahaan main vahaan

Main agar kahoon humsafar meri
Apsara ho tum ki ya koi pari
Taareef yeh bhi to
Sach hai kuch bhi nahi

Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
Kisi zabaan mein bhi
Woh lavz hi nahi
Ki jinme tum ho kya tumhe bata sakhoon

Main agar kahoon tumsa haseen
Qaynat mein nahi hain kaheen
Taareef yeh bhi to
Sach hai kuch bhi nahi

*Instrumentals*