CORRIGER LES PAROLES

Paroles : RUKH

Ek tarfa hai industry aur ek tarfa hai dil mera
Ek tarfa hai khaali jaeb aur ek tarfa hai bill bada
Ek tarfa hai khud se pyaar aur ek tarfa hai khud se khauf
Ek tarfa hai maa ke aansu ek tarfa woh ladti, roz
Ek tarfa hai kaidi saare, ek tarfa hai khuli chhoot
Ek kande pe asliyat aur ek kanda bas bole....,
Kitne, zakham? Har din kareeda ek kafan
Ek tarfa lagta mazboot mein, ek tarfa zindah taboot mein janam
Ek tarfa khoon ka jashan, aur ek tarfa khoon ka wazan
Har boond se banta junoon ye mera, main aatish mein doondu phir saahil ke kadam
Ek tarfa sawab hai, ek tarfa galat toh hai, kare kya rasmo riwaj hai
Hum hi ghulam hai, ek tarfa toh karna hai , kehna par hum toh khilaaf hai
Alsi nakli kya?
Dedo inne clout
Tume Samajh aaye farzi kya
Asool pe chalne ka gudda nahi
Soch choti inn ki duniya
Ye hi toh farak hai
Ahmer ek dard hai, ye rapper ek taraf hai
Ye hi toh farak hai
Ahmer toh arsh hai, tu toh bas meri jhalak hai
2012 mein koi na saath
Studio tha khwab , gaane phone pe record
2019 mein di inne game
Sar pe ab taaj, rakha sab maine yaad
Huh, rakha sab maine yaad , woh bhi toh haina farak shayad
Yahan andar hi andar politics , kaise bhi karke bas ahmer ho gayab
Mujh pe ilzaam kahee, mujh pe lihaaz nahi
Mujhe sunte hai log kitne akhir, hota inne bardasht nahi
Girane ki saazish main, baithe nakli aalim hai
Fame ke peeche launde bhaage, tab bhi na hote mutasir ye
Ye khel na sab ke bas ki nahi, chahte ladki gaadi, chhuti inki buss bhi
Leke haath main lathi, kate saanp ke sar bhi
Dikhi jab khudgarzi, maine rah hi badli
Khaya na main kisi ke haq ki
Aur chaat te the meri, par main diya na f**k nahi
Alag kapde se bana mera koi na darzi
Ab toh koshur nizam sune ek har basti