CORRECTAR LA LETRA

Letra : Aakhir betiyaan hi kyun..?

manti hai sabse badhkar jisko ap
bharosa hai jinpar sabse jada apko
akhir iss duniy me sabse pehle pyaar bhi to
mahadev ji ne hi kiya tha na

ek baat puchni thi apse
kya apki beti ke khusi se jada?
society ka dharm najr aata hai apko..?
bilakhti hai din rat jab apne sasural me wo
kya sun ne mein maza ata hai apko
jab laga diya ek beti ne
apni jindagi ko davv mein
sirf yehi sochkar ki maa-bap
rahe khusiyon ke chaav mein
jalil hui wo apne hi ghar me
jab pta chla ki usne pyar kiya
shadi to apne marzi se nahi ki na usne
phir syad ma bap ki pasand ne hi usse dhoka diya
char diwaro me kaid rahi wo
sabka zurm sehh rehi wo
nhi kha usne ek sabd ma bap ko
sirf apne kismat ko kosh rahi wo
yeh kismat bhi ma bap ne uphaar diya
beti ne isse haste haste apna liya
ap kehte hai ...
ek tarf tha wo jiske sath usne waqt gujare
dusre traf tha wo
jiske sath apni jindagi gujarne wali thi wo
nakar diya uske pyaar ko aapne
par kya wo ladka glt nahi tha
maine kch glt kaha to saza do mujhe
shadi usse karo jisko jane hue ek din bhi nahi huye
shadi usse na karo jisko jane saal ho gye hai...?