CORRECTAR LA LETRA

Letra : Sar Jo Tera Chakraye

Sar jo tera chakraye ya dil duba jaye
Aaja pyare paas humare
Kahe ghabraye kahe ghabraye
Sar jo tera chakraye ya dil duba jaye
Aaja pyare paas humare
Kahe ghabraye kahe ghabraye

Tel mera hai muski, Ganj rahe na khuski
Jiske sar par hath phira doon, chamke kismat uski
Tel mera hai muski, Ganj rahe na khuski
Jiske sar par hath phira doon, chamke kismat uski

Sun-sun-sun are babu sun
Is champi mein bade-bade gun
Sun-sun-sun are babu sun
Is champi mein bade-bade gun
Lakh dukho ki ek dawa hai, kyun na aazmaye
Kahe ghabraye, kahe ghabraye

Sar jo tera chakraye ya dil duba jaye
Aaja pyare paas humare
Kahe ghabraye kahe ghabraye

Pyaar ka hove jhagda, ya business ka ho ragda
Sab lafdo ka bojh hate, jab pade hath ik tagda

Naukar ho ya maalik, leader ho ya public
Apne aage sabhi jhuke hai, kya raja, kya sainik